16 APRIL (Hadees) - Murdon Ko Bura Bhala Mat Kaho Ke Isse Tum Zindon Ko Takleef Pahunchaoge

Hadees
Hazrat Mughirah Bin Shu'bah Raziyallahu 'anhu farmaate hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Murdon ko bura bhala mat kaho ke isse tum zindon ko takleef pahunchaoge. (Tirmizi: 1982)

Faaida: Matlab ye hai ke marne waale ko bura bhala kehne se uske azeezon ko takleef hogi aur jisko bura bhala kaha gaya use koi nuqsaan nahin hoga.


Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 16 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Allah Ta'ala ki ye shaan hi nahi hai ke log istighfaar karne waale hon aur phir unko azaab dein. (Al-Anfaal: 33)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

15 APRIL (Hadees) - Gunahon Mein Se Ek Badaa Gunah Kisi Musalmaan Ki Izzat Par Nahaq Hamla Karna Hai

Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kabira gunahon mein se ek badaa gunah kisi musalmaan ki izzat par nahaq hamla karna hai. (Abu Dawud: 4877)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 15 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur jo Allah Ta'ala ki yaad se ghafil hota hai to hum us par ek shaitaan musallat kar dete hain phir har waqt wo us ke saath rehta hai. (Az-Zukhruf: 36)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

14 APRIL (Hadees) - Jo Shakhs Subah Aur Shaam Masjid Jaata Hai

Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs subah aur shaam masjid jaata hai Allah Ta'ala uske liye jannat mein mehmaani ka intezaam farmaate hain jitni martaba subah ya shaam masjid jaata hai utni hi martaba Allah Ta'ala uske liye mehmaani ka intezaam farmaate hain. (Bukhari: 662)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 14 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Allah ne insaan ko paida farmaaya, use bayaan sikhaaya. (Sura-e-Rahmaan: 3,4)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

13 APRIL (Hadees) - Mujahid Woh Hai Jo Apne Nafs Se Jihad Kare

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Fazala Bin Ubaid (Raziyallahu Anhu) riwayat karte hain ke Nabi Kareem (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya: Mujahid woh hai jo apne nafs se jihad kare yani nafsani khuwaishaat ke khilaf chalne ki koshish kare. (Tirmizi: 1621)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 13 (Quran)

Allah Ta'ala ne apne Rasool Sallahu 'alaihi wassallam se irshaad farmaaya (Tarjama): Aur subah wa shaam apne Rabb ko dil hi mein aajizi, khauf aur past awaaz se Qur'an Kareem padh kar ya tasbeeh karte hue yaad karte rahiye, aur ghaafil na rahiye. (Al-A'araf: 205)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

12 APRIL (Hadees) - Bande Ko Jo Halki Ya Sakht Museebat Pesh Aati Hai

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Bande ko jo halki ya sakht museebat pesh aati hai, woh us ke gunaah ka nateeja hoti hai, aur bahot saare gunaahon ko to Allah Ta'ala maaf farma dete hain. (Tirmizi: 3252)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp